|
| Home >> Introduction:- BVP India >> BVP Sanchore |
|
|
| Introduction |
|
| Bharat Vikas Parishad Sanchore |
| Vikalang Sahayata Yojana |
|
| |
Vande matram! nav varsh ke hardik shubhakanaye asha hai ki apka bita hua varsh sukhad raha hoga. Apke jivan me har varsh kitane hi khushi ke avashar aate hai. Jab parivar aur snehajano ke sath khushi se manate hai. parivar ke sath-sath samajik samrasata aur souhadra bana rahe, aise prayash bhi hum sub mil jul kar karana chahiye. Jarurat mando ki seva karana aur pranimatra ke prati daya sadbhav rakhana hi jeevan ki sarthakata hai.
|
| |
Bharat Vikash Parishad me Vikalang bandhuo ke liye kritrim ang taiyar kar nishulka lagane ka kendra dandata Shri Prakash Chandra Kanungo aur Aap sabhi ke sahayog se Sanchore me prarambha kiya hai. Jaha par kritrim pav, hath aur Calipars taiyar karake nishulk pradan kiye jate hai. Is kendra par marusthal Bhag ke alava Gujrat aur any kshetro se bhi Vikalang aa rahe hai. Desh bhar me Bharat Vikash Parishad ke 13 Kendro ke dwara prati varsh lagbhag 5000 Jarurat mand bhai- bahano ko avashyakata ke anushar ang lagaye jate hai. Nar seva hi narayan seva hai. Is dhyeya vakya ko drishtigat rakha kar yah kendra prarambha kiya gaya hai.
|
| |
Bharat Vikash Parishad ek samajik aur Rastriya santha hai. Yah Santha samstha Vishva ke manav samudaya ke aadhyatmik aur netik utthan ke prati sajakata se karyarat hai. Bharat Vikash Parishad ki Desh bhar me lagbhag 1100 aur Rajasthan Pashchima prant me 17 Shakhaya hai. Late Shri Dr. Laxmimal Sanghavi Bhutapurv uchchauyukta Briten iske sanrakshka aur bhutapurva nyayadhish R. D. Dhanuka Mumbai iske Rastriya Adhayksha hai. Seva aur Sanskar iske pramukha vikalp hai.
|
| |
Humare Desh me har varsh anumanit 20,000 log yato accident ke dwara ya kisi factry athava khet me karya karte hua durdhatana apne hath gava baitha hai. Humare Desh me anya santhaye jo yah karya karati hai ve sabhi milakar 10,000 vikalango ko har varsh kritrim ang pradhan karate hai. Ise me vikalango ki sankhya badati hi jati hai. Is sankhya ko kam karane ke liya Bharat Vikash Parishad Sanchore dwara yah karya Rastriya prakalp ke rup me hath me liya hai. Sab se pehle kendra Delhi me prarambha hua. Tatpashchat Hyderabad, Ludhiyana, Ahmadabad, Indore, Patana, Kanpur, Cochin, Gohati, Pune, Nargota, Hisar aur kota me kendra prarambha hua. Is prakar Marwar ka pehla aur Desh ka 13 vikalang kedra Sanchore me Sab se pichhade ilake aur marusthal kshetra me aap sabhi ke sahayog ke sath 22 August 2005 se shuru kiya gaya hai.
|
|
| Chal Chikitsalaya (Mobile Hospital) |
|
| |
Daridra Narayanon namh: (Daridra rogi seva Bhagavan ki seva hai.) ek ahsahay ko sahay karana, pidit ki madad karana manavata ka pramukha karya hai. Isi bhavana ko dhyan me rakh kar Shri Narapat Chand Kanungo Dwara pradatta Chal Chikitsalaya Amulance se Chal Chikitsa ka karya prarambh kiya hai. Yah Chikitsalaya yojana anushar anubhavi Docter ke sath Sanchore Tahsil se gaon me camp ke madhyam se prati din apni sevay de raha hai aur samaj ke pidit vard ke liya ek sahayog ban kar sathi ka karya kar raha hai.
|
| |
Is kendra par sthai rup se sanchalan hetu aap sabhi ke sahayog ki avashyakata rahagi. Atah aap apne Parivar ke sadasya ke janm, Vivah, Khushi ya any sabhi shubh avasharo par prati varsh hajar rupe ka dan dekar ek vikalang bhai ko pav athava Calipars laga kar khushi aur naya jeevan de sakate sath samaj ke pidit vard ke liya ek din ka hajar Rupe ka davai kharch ka sahayog kar sakate hai. Athva pure 5 varsh ka 10,000 Rupee de sakate hai.
|
| |
Hum aap sabhi dan veero se nivedan karte hai ki apke pass bheja gaya dan patra bhar kar is kendra ke sthai sanchalan hetu prati varsh 2000 Rupee ki rashi athava pure 5 varsh ke liya 10,000 Rupee ki rashi ke sthai sadasya ban kar Bharat Vikash Parishad Cheritable Trust, Sanchore ke naam se bheja kar manvata ke is punit karya me sahayoga karane ka kasta karave.
|
| |
Apke dwara Bheja gaya dan aayakar ki dhara 80 G ke antar gat jama hota hai.
|
|
| Shri Prakashmal Kanungo |
|
| Shri Narpatchand Kanungo |
|